Nazar Mein Zakham-e-Tabassum Chhupa Chhupa Ke Mila Khafa Tou Tha Wo Magar Mujh Se Muskura Ke Mila


Nazar Mein Zakham-e-Tabassum Chhupa Chhupa Ke Mila

Khafa Tou Tha Wo Magar Mujh Se Muskura Ke Mila

Wo Hamsafar Ke Mere Tanz Pe Hansa Tha Bohat

Sitam Zareef Mujhe Aaina Dikha Ke Mila

Mere Mizaaj Pe Hairaa.n Hai Zindagi Ka Shaoor

Mein Apni Mout Ko Aksar Galay Laga Ke Mila

Mein us Se Maangta Kia Khoon Bahaa Jawaani Ka

Ke Wo Bhi Aaj Mujhe Apna Ghar Luta Ke Mila

Mein Jis Ko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Rastay Mein

Mujhe Mila Bhi Tou Zaalim Nazar Jhuka Ke Mila

Mein Zakham Zakham Badan Le Ke Chal Dya Mohsin

 Wo Jub Bhi Apni Qabaa Per Kanwal Sajaa Ke Mila


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo