Tum aaye ho na shab-E-intezaar guzrii hai Talaash men hai sehar baar baar guzrii hai


Tum aaye ho na shab-E-intezaar guzrii hai
Talaash men hai sehar baar baar guzrii hai
Junuun men jitni bhi guzri bakaar guzarii hai
Agar che dil pe kharaabii hazaar guzrii hai
Huii hai hazrat-E-naaseh se guftaguu jis shab
Wo shab zaruur sar-E-kuu-E-yaar guzrii hai
Woh baat saare fasaane men jiskaa zikr na thaa
Woh baat unko bahut naa-gavaar guzrii hai
Na gul khile hain, na un se mile, na mai pi hai
Ajeeb rang men ab ke bahaar guzrii hai
Chaman men Ghairat-E-gulchin pe jane kya guzri
Qafas se aaj sabaa be – Qaraar guzrii hai

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai