Agarche zor hawaon ne daal rakha hai, magar charaagh ne lau ko sambhaal rakha hai.


Agarche zor hawaon ne daal rakha hai,
magar charaagh ne lau ko sambhaal rakha hai.
Mohabbaton mein toh milna hai ya ujad jana,
mizaaj-e ishq mein kab etidaal rakha hai.
Hawa mein nasha hi nasha fazaa mein rang hi rang,
ye kis ne pairhan apna uchhaal rakha hai.
Bhale dino ka bharosa hi kya rahen na rahen,
so maine rishta-e ghum ko bahaal rakha hai.
Hum aise sada-dilon ko woh dost ho ki khuda,
sabhi ne wada-e fardaa pe taal rakha hai.
Hisaab lutf-e hareefan kiya hai jab toh khula,
ki doston ne zyada khyaal rakha hai.
Bhari bahaar mein ek shaakh par khila hai gulaab,
ki jaise tune hatheli pe gaal rakha hai.
Faraz’ ishq ki duniya toh khoobsurat thi,
ye kisne fitna-e-hijr-o-visaal rakha hai...!!!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo