Chaman Khilate Ga'ye Mast-O-Naghmaa Khawaan Guzre, Rah-E-Wafa Ke Musafir Jahan Jahan Guzre,


Amjad Islam Amjad
Type By
*._.Murtaza._*
Chaman Khilate Ga'ye
Mast-O-Naghmaa
Khawaan Guzre,
Rah-E-Wafa Ke
Musafir Jahan Jahan
Guzre,
Guzar Ga'ye, Gham-E-
Hijran Ke Seenkrron
Moassam,
Tumhare Wasal Ke
Lamhe Na Meri Jaan
Guzre,
Wahan Wahan Hui
Zaroon Main Roshni
Peda,
Jahan Jahan Se
Mohabbat Ke Karwan
Guzre,
Musahiboon Main Ghiri
Zindagi Se Behtar Hai,
Woh Aik Sham Jo
Apnon Ke Darmiyaan
Guzre,
Na Apne Aap Ko Badla
Na Kuch Badal Paa'ye,
Thay Kam Hi Loog Jo
Hum Jaise Raa'egan
Guzre,
Kaheen Pe Darj Hai
Sub Kuch Jo Hone
Wala Hai,
Woh Saanhe Kaheen
Tay Thay Jo Nagahan
Guzre,
Yeh Jin Ki Goonj See
Har Pal Suna'ee Daiti
Hai,
Woh Rooz-O-Shab
Nahi Maa'loom, Kab
Kahan Guzre,
Sabab Yeh Hai Ke
Zamaane Ki Thi
Zubaan Kuch Aur,
Zuban Rakhte Hue
Hum Jo Be Zabaan
Guzre,
Kisi Ko Phir Na Milaa
Rang Meer-O-Ghalib
Ka,
Agarche Yoon Toh
Hazaroon Hi Khush
Bayaan Guzre,
Hai Raaste Ki Saraa'e
Sa Aadmi Ka Dil,
Kabhi Yaqeen Yahan
Thehre Kabhi Guman
Guzre,
Ajab Fazaa Hai
Chaman Ki Ke Phool
Kehte Hain,
Bahaar Aa'ye Na
Aa'ye Magar Khazaan
Guzre,
Fazaa Main Pheltee
Khushboo Pata Batati
Hai,
Kahan Kahan Se
Hamaare Woh
Raftgaan Guzre,
Havaa Misaal Zamana
Toh Chalta Rehta Hai,
Koi Malool Ho AMJAD
Ke Shadmaan Guzre,
Book Name
Sham Saraa'e,

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha