Dohoop Ka Rang Aaj Gulabi Sa Tha Paharr Barf Ki Qabaa Orrhay Kitney Bhalay Maloom Ho Rahay Thy


Dohoop Ka Rang Aaj Gulabi Sa Tha
Paharr Barf Ki Qabaa Orrhay Kitney Bhalay Maloom Ho Rahay Thy
Gulabon Ki Narm Pattion Par Aos k Qatrey Jaisy Zindagi k Rang
Nikhaar Rahay Thy
Jaisy Zindagi Ka Asal Naam`December` Ho
Main Baraf Par Chal Kar Tumhari Har Vo Baat Dohrata Raha
Jo Tum Barafbari Mein Kaha Kartey Thy
Tum Kehtay.....
December Ka Aisa Mousam Mujhay Raas Ata Hay
Kaash k Saal Ka Har Maheena December Mein Simat Jaye
Mujhay December Mein Jeenay Ka Yeh Khush Numa Ehsas
Inhii Lafzon Ne Diya Hay
k Ab Main Basaa Aukaat Tumhari Sochon Mein Gum Ho Kar
Tumhein December Kaha Karta Hoon
Suno,Main Ab Iss December Ko Janey Nahi Donga
Main Saal Ka Har Maheena Iss Mein Samo Donga
Aur Phir Jab Tum Laut Kar Aao Ge
To Saal k Har Maheenay Mein December Ka Ehsas Pao Ge
Jab Kabhi Tum Mujh Se Khafa Hotay Ho To Yun Lagta Hay
k Apni Hi Zindagi Mujh Se Rooth Gayi Hay
Aur Jeenay Ka Vo Khilta Ehsas Murjha Jata Hay
Jo Tumhari Neeli Aankhon k Dam Se Pal Pal Zinda Rehta Hay
Kabhi Apni Neeli Aankhon Ko Ghour e Dekho
Yeh Meri Wafaon Ki Mehwar Aur Hamari Muhabbat Ki Raazdan Hain
Bas Tum jahan Se b Guzro
Yeh Aankhein Meri Chahat k Rang Liye Tumharii Tareek raahon Ko
Roshan Karein Gi
Aur Tumhein Dukh k Uss Ehsas Se Aarii Kar Dein Gi
Jo Tum Mujh Se Chupatey Rehtay Ho
Tumhein Kya Maloom k Tum Bin
December Mujh Se Khafa Khafa sa Hay
Waadi Mein Vo Rang-o-Boo Aur Yeh Barf Aisi Jam Gayi Hay k
Ab Shayed Yeh Kabhi Nahi Pighlay Gi
Main December Ki In Tanha Raaton Mein Bahir Aa k Baith Jata Hoon
Aur Apney Aangan Mein Halki Si Barfbari Dekh Kar
Meri Aankhein Bheeg Jati Hain
Tum Aa Jao k Tumhara Pasandeeda Mousam Beet Raha Hay
Dekho Main Ne Kya Kya Nahi Socha Tha

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha