Gulshan Ki Baharon Main Rangeen Nazaron Main Jab Tum Mujhay Dhoondo Gay Aankhon Main Nami Hogi


Gulshan Ki Baharon Main
Rangeen Nazaron Main
Jab Tum Mujhay Dhoondo Gay
Aankhon Main Nami Hogi
Mehsoos Tumhein Har Dum
Phir Meri Kami Hogi
Aakash Pay Jab Taaray
Sangeet Sunayen Gay
Beetay Huvay Lamhon Ko
Aankhon Main Sajayein Gay
Tanhaai Kay Sholon Say
Jab Aaag Lagi Hogi
Mehsoos Tumehin Har Dum
Phir Meri Kami Hogi
Sawan Ki Ghataon Ka
Jab Shor Suno Gay Tum
Bikhray Huvay Maazi Kay
Auraaq Chuno Gay Tum
Mahol Kay Chehray Par
Jab Dhool Jami Hogi
Mehsoos Tumhein Har Dum
Phir Meri Kami Hogi
Jab Naam Mera Loo Gay
Tum Kaanp Rahay Ho Gay
Aansoo Bharay Daaman Say
Munh Dhaanp Rahay Ho Gay
Rangeen Ghataon Ki
Jab Shaaam Ghani Hogi
Mehsoos Tumhein Har Dum
Phir Meri Kami Hogi................................

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai