Kuchh log bhi wehmo'n me giraftaar bht hain... Kuchh sheher ki galiyaa'n bhi pur-israar bht hain


Kuchh log bhi wehmo'n me giraftaar bht hain...
Kuchh sheher ki galiyaa'n bhi pur-israar bht hain...
Hai kon..?? Utarta hai wahan jiske liye chaand...??
Kehne ko to chehre pas-e-deewaar bht hain...
Hoto'n pe sulagte hue inkaar pe mat jaa...
Palko'n se parey bheegte iqraar bht hain...
Ye dhoop ki saazish hai k mausam ki sharaarat...??
Saaye wahan kam hain jahan ash'jaar bht hain...
Be-harf-e-talab unko ataa kar kbhii khud se...
Wo yun,, k sawaalii tere khuddaar bht hain...
Tum munsif-o-aadil hi sahi sheher me lekin...
Q khoon k chheentey sir-e-dastaar bht hain...??
Aye hijr ki bastii tu salaamat rahe lekin...
Sunsaan tere koocha-o-baazaar bht hain...
MOHSIN hme zid hai k ho andaaz-e-bayaa'n aor...
Hm log bhi Ghalib k tarafdaar bht hain...!!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo