ujar ujar ke sanawarti he tere hijr ki sham pooch kese guzarti he, tere hijr ki sham

ujar ujar ke sanawarti he tere hijr ki sham
pooch kese guzarti he, tere hijr ki sham
ye barg barg udasi bikhar rahi he meri
ke shakh shakh utarti he tere, hijr ki sham
ujaar ghar main koi chaand kab utarta he
sawal mujh se ye karti he, tere hijr ki sham
mere safar me ik aesa mor bhi aata he
jab apne ap se darti he ,tere hijr ki sham
boht azeez hen dil ko ye zakham zakham ruten
inhi ruton me nikharti he, tere hijr ki sham
ye mera dil, ye sarasar nigar khana e gham
sada isi main utarti he, tere hijr ki sham
jahan jahan bhi milen tere qurbaton ke nishan
wahan wahan se ubharti he ,tere hijr ki sham
ye hadsa tujhe shaed udas kar de ga
ke mere saath he marti he, tere hijr ki sham
TERAY HIJR KI SHAAM.......................




Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai