Zara Si Dair Mein Ham Kaisay Kholtay usko Tamaam Umer Lagi Jhoot Boltay usko


Zara Si Dair Mein Ham Kaisay Kholtay usko
Tamaam Umer Lagi Jhoot Boltay usko
Jisay Kasheed Kia Tha Khumaar-e-Khushbuu Se
Misaal-e-Rang Hawaaon Mein Gholtay usko
Wo Khwaab Mein Hee Utarta Shuaa-e-Subah Ke Saath
Ham Apnay Aap Hee Palkon Pe Toultay usko
Wo Ashk Tha usay Aankhon Mein Dafan Hona Tha
Gohar Na Tha Ke Sitaaron Mein Roltay usko
Wo Be-Wafa Tha Tou Iqraar Lazmi Karta
Kuch Aur Dair Meri Jaan Tatoltay usko
Kisi Ki Aankh Se "Mohsin" Zaroor Peeta Hai
Tamaam Sheher Ne Dekha Hai Doultay usko

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha