Ahista chal zindagi abhi kai karz chukana baqi hai, kuch dard mitane baqi hai


Ahista chal zindagi abhi kai karz chukana baqi hai,
kuch dard mitane baqi hai
kuch farz nibhana baqi hai.
Raftaar mein tere chalne se
kuch rooth gai, kuch chhut gaye.
Roothon ko manana baqi hai,, Roothon ko hasana baqi hai
, kuch hasraatein abhi adhori hain,
kuch kaam bhi aur zaruri hain
Khwahishen jo ghut gaye dil mai unko dafnana zaruri hai
Kuch rishte ban kar toot gaye,
kuch judhte judhte choot gaye
Un toot-e-choote rishtoon ke zakhmoon ko mitana baqi hai
Tu aage chal main aata hoon
kya chor tujhe ji paaoonga?
In saanson par haqq hai jinka,
unko samjhana baaqi hai
Aahista chal zindagi, kai qarz chukana baqi hai......
AAHISTA CHAL ZINDAGI.


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo