Aik Pal Mein Zindagi Bhar Ki Udasi De Gaya Wo Juda Hote Hue Kuch Phol Basi De Gaya




Aik Pal Mein Zindagi Bhar Ki Udasi De Gaya
Wo Juda Hote Hue Kuch Phol Basi De Gaya
,
Noch Kar Shakhon Ke Tan Se Khushk Patton Ka Libas
Zard Mousam Banjh Rut Ko Be Libasi De Gaya,
Subh Ke Tare
Meri Pehli Dua Tere Liye
Tu Dil E Be Sabar Ko Taskeen Zara Si De Gaya,
Log Malbon Mein Dabe Saye Bhi Dafnane Lage
Zalzala
Ehl E Zamin Ko Bad Hawasi De Gaya,
Tunday Jhonke Ki Ragon Mein Ghol Kar Apna Dhuwan
Ik Diya Andhi Hawa Ko Khud Shanasi De Gaya,
Le Gaya Mohsin Wo Mujh Se Abar Bunta Asma,n
Uske Badle Mein Zameen,,, Sadiyon Ki Piyasi De Gaya...!
Mohsin Naqvi

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai