Apni Mohabbaton Ki KHUDAI Dia Na Kar Har Be Talab K Hath Kamai Dia Na Kar


Poet
Farhat Abas Shah

Apni Mohabbaton Ki KHUDAI Dia Na Kar
Har Be Talab K Hath Kamai Dia Na Kar

Deti He Jab Zara Si Bhi Aahat Azeetein,
Aisi Khamoshiyon Mein Sunai Diya Na Kar,

Pahle Hi Hadsat K Imkan Kam Nahi,
Youn Mujh Ko Raston Mein Sujhai Diya Na Kar,

Nazrein To Patharon Ko Bhi Kar Jaein Chak Chak,
Saj Dhaj K Bastiyon Mein Dikhai Diya Na Kar,

In Muasamon Mein Panchi Palt'Te Nahi Sada,
Dil Ko Udasiyon Mein Rihai Diya Na Kar,

Aata Nahi Badlna Jo Andaz-E-Dushmani,
Chahre Badl Badl K Dikhai Diya Na Kar,

FARHAT Koi To Faraq Ho Aam Aur Khas Mein,
Har Aik Aashna Ko Rasai Diya Na Kar............!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo