chehre pe mere zulf ko phailaao kisii din kyaa roz garajte ho, baras jaao kisii din


chehre pe mere zulf ko phailaao kisii din
kyaa roz garajte ho, baras jaao kisii din

raazon kii tarah utro mere dil mein kisii shab
dastak pe mere haath kii khul jaao kisii din

perron kii tarah husn kii baarish mein nahaa luun
baadal kii tarah jhuum ke ghir aao kisii din

khushbuu kii tarah guzro mere dil kii galii se
phuulon kii tarah mujh pe bikhar jaao kisii din

phir haath ko khairaat mile band-e-qabaa kii
phir lutf-e-shab-e-vasl ko doharaao kisii din

guzren jo mere ghar se to ruk jaayen sitaare
is tar’ha merii raat ko chamakaao kisii din

main apnii har ik saans usii raat ko de duun
sar rakh ke mere siine pe so jaao kisii din

Amjad Islam Amjad


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo