Kitni Azziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaaya Ho ga Meri Yadoon Nay Ussay Khoob Rulaaya Ho ga


Kitni Azziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaaya Ho ga
Meri Yadoon Nay Ussay Khoob Rulaaya Ho ga
Baat Be Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee Ho gi
Uss Nay Chehray Ko Baazu'on Men Chupaaya Ho ga
Socha Ho Ga Uss Nay Din Men Kaee Baar Mujhay
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya Ho ga
Jahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi Say
Uss Ki Aankhon Men Koi Aansoo Tau Aaya Ho ga
Raat Kay Beetnay Tak Neend Na Aai Hogi Tujhay
Tu nay Takkiye Ko Bhi Seenay Say Lagaaya Ho ga
Ho kay Nidhaal Meri Yaadon Say Tu nay Jaana
Meri Tasveer Pay Sar Apna Tikaaya Ho ga
Poocha Ho ga Jo Kisi Nay Teray Haalaat Ka Sabbab
Tu nay Baaton Men Khoob Uss Say Chupaaya Ho ga

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai