Mere junoo’n ka nateeja zaroor nikle ga Isi siyaah samundar se noor nikle ga


Mere junoo’n ka nateeja zaroor nikle ga
Isi siyaah samundar se noor nikle ga
Gira diya hy to sahil pe intizaar na kar
Agar wo doob gya hy to duur nikle ga
Usi ka shehr, wohi mudaai, wohi munsif
Hamen yaqee’n tha hamara qasoor nikle ga
Yaqee’n na aye to ek baat puch kar dekho
Jo hans raha hy wo zakhmon se choor nikle ga..
Amir Agha Qazalbash

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai