Charaagh-e-Raah Bujha Kia, Ke Rehnumaa Bhi Gaya Hawa Ke Saath Musaafir Ka Naqsh-e-Paa Bhee Gaya


Charaagh-e-Raah Bujha Kia, Ke Rehnumaa Bhi Gaya
Hawa Ke Saath Musaafir Ka Naqsh-e-Paa Bhee Gaya

Mein Phool Chunti Rahee Aur Mujhe Khabar Na Howi
Wo Shakhs Aa Ke Mere Sheher Se Chala Bhee Gaya

Bohat Azeez Sahee Osko Meri Dildaari
Magar Ye Hai Ke Kubhi Dil Mera Dukha Bhee Gaya

Ab Un Dareechon Pe Gehray Dabaiz Parday Hain
Wo Taank Jhaank Ka Masoom Silsila Bhee Gaya

Sab Aaye Meri Ayaadat Ko, Wo Bhee Aaya Tha
Jo Sab Gaye Tou Mera Dard Aashna Bhee Gaya

Ye Ghurbatain Meri Aankhon Mein Kaisi Utri Hain
Ke Khwaab Bhee Mere Rukhsat Hain, Ratjaga Bhee Gaya


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha