Devaana banana hai to devaana bana day Verna kaheen taqdeer tamaasha na bana day


Devaana banana hai to devaana bana day
Verna kaheen taqdeer tamaasha na bana day

Ae dekhnay walo, mujhay hans hans kay na dekho
Tum ko bhi mohabbat kaheen mujh sa na bana day

mein dhoond raha hoon, meri vo shamma kahaan hai
Jo bazm ki her cheez ko pervaana bana day

Aakhir koi surat bhi to ho khaana-e-dil ki
Kaaba nahin banta hai to but-khaana bana day

"Behzad" her ik jaam pay ik sajda-e-masti
Her zarray ko sang-e-dar-e-janna na bana day


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo