Poet: Fani Badaayuni
Type By
*._.Murtaza._*
Kyun Na Nairang-E-
Janoon Par Koi
Qurbaan Ho Jaa'ye
Gar Woh Sehraa Ke
Bahaar Aa'ye Toh
Zindaan Ho Jaa'ye
Barq Dum Lene Ko
Thehre Toh Rag-E-
Jaan Ho Jaa'ye
Fitna-E-Hashar
Mujassam Ho Toh
Insaan Ho Jaa'ye
Johar Aaina-E-Dil Hai
Woh Tasveer Hai Tu
Dil Woh Aaina Ke Tu
Dekh Ke Hairaan Ho
Jaa'ye
Gham Woh Rahat Jise
Qissmat Ke Dhanni
Paate Hain
Dum Woh Mushkil Hai
Ke Maut Aa'ye Toh
Aasaan Ho Jaa'ye
Ishq Woh Kufir Ke
Eeman Hai Dil Waloon Ka
Aqal-E-Majboor Woh
Kaafir Ke Musalmaan
Ho Jaa'ye
Zara Woh Raaz-E-
Bayaaban Hai Jo
Afshaa Na Huaa
Dasht-E-Wehshat Hai
Woh Zaraa Jo
Bayaaban Ho Jaa'ye
Gham-E-Mehsos Woh
Baatil Jise Kehte Hain
Majaaz
Dil Ki Hassti Woh
Haqeeqat Hai Jo
Uriyaan Ho Jaa'ye
Khuld Maikhaane Ko
Kehte Hai Baqaul-E-
Wa'iaz
Kaa'ba Buttkhane Ko
Kehte Hain Jo Veeran
Ho Jaa'ye
SAJDAH Kehte Hain
Dar-E-Yaar Pe Mar
Jaane Ko
Qiblaa Woh Sar Hai Jo
Khak-E-Rah-E-Janaan
Ho Jaa'ye
Maut Woh Din Bhi
Dikhaa'ye Mujhe Jis
Din FANI
Zindagi Apni Jafa'oon
Pe Pishemaan Ho
Jaa'ye.....................!
Book Name
Kuliyaat-E-Fani
Page 191
Comments
Post a Comment