Na bujha chiragh-e-dayaar-e-dil, na bichrne ka tu malaal kar


Na bujha chiragh-e-dayaar-e-dil, na bichrne ka tu malaal kar

Tujhe de gi jeene ka hosla, meri yaad rakh le sambhal kar

Ye bhi kya ke ek hi shakhs ko kabhi sochna, kabhi bhoolna

Jo na bujh sake wo diya jala, jo na ho sake wo kamal kar 

Gham-e-arzu meri justju, mei simat ke aa gaya ru-baru

Ye sukoot-e-marg hai kis liye? mei jawab doon tu sawal kar 

Tu bichhar raha hai to soch le, tere hath hai meri zindgi

Tujhe rokna meri mot hai, meri be`bsi ka khayal kar

Mre dard ka, mre zabt ka, meri be-basi, mere sabr ka

Jo yakeen na aaye to dekh le, tu hawa mein phool uchaal kr


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo