ujaar lamhon ki daastaanain agar kaho tau sunaayen tum ko
bohat sa hum jaagtay rahay hain chalo zara sa jagaayen tum ko
tum hi jo roshni si bann kar humari aankhon men aa basay ho
jab apni aankhain hi keh diya hai tau phir bhala kyun rulaayen tum ko
tum aaj kyun muztarib ho jaanan,tumharay lehjay men toot kesi
kaha na tha keh waqt day ga kadooraton ki sazaayen tum ko
tum aisa karna keh aik lamhay ko apni dharkan pay haath rakhna
meri wafaayen meray yeh jazbay agar kabhi yaad aayen tum ko
ghubaar aaluud raaston men talaash kar kar kay thak gaye hain
kahaan pay jaa kay basay ho kahaan say dhoond laayen tum ko
tumhain tau sukh aa gaye muyassar tumhain to hum yaad he nahi hain
magr batao keh hum jo chaahain tau kis tarha say bhulaayen tum ko
tum apni baaton pay mutma'in ho hamen bhi sharmindagi nahi hai
anaa ki dewaar ko gira kar nahi yeh mumkin manaayen tum ko
kaho ay Jaazib yeh jhoot hai naa keh tum nay us ko bhula diya hai
abhi talak jis ki shokh yaaden her aik lamha sataayen tum ko
Comments
Post a Comment