Chaman Mein Jab Bhi Sabaa Ko Gulaab Poochtay Hain


Chaman Mein Jab Bhi Sabaa Ko Gulaab Poochtay Hain
Tumhaari Aankh Ka Ehwaal, Khwaab Poochtay Hain
Kahan Kahan Howay Roshan Hamaray Baad Charaagh
Sitaaray Deeda-e-Tar Se Hisaab Poochtay Hain
Wo Tashna Lab Bhi Ajab Hain Jo Mouj-e-Sehra Se
Suraagh-e-Habs, Mizaaj-e-Saraab Poochtay Hain
Kahan Basi Hain Wo Yaadain, Ujaarna Hai Jinhain
Dilon Ki Baanjh Zamee.n Se Azaab Poochtay Hain
Baras Padi Teri Aankhain Tou Phir Ye Bhaid Khula
Sawaal Khud Se Bhi Apna Jawaab Poochtay Hain
Hawa Ki Hamsafri Se Ab Aur Kia Haasil
Bas Apne Sheher Ko Khaana Kharaab Poochtay Hain
Jo Be-Niaaz Hain Khud Apne Husn Se Mohsin
Kahan Wo Mujh Se Mera Intekhaab Poochtay Hain

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha