Dasht Mein Piyas Bujhaty Howe Mar Jaate Hain Hum Parinde kahein Jatay Howe Mar Jaate Hain


Dasht Mein Piyas Bujhaty Howe Mar Jaate Hain
Hum Parinde kahein Jatay Howe Mar Jaate Hain
Hum Hain Sookhay Howy Talaab Pe Baithe Howe Hans
Jo Taaluq ko Nibhaatae Howe Mar Jaate Hain
Un Kay Bhi Qatal Ka Elzam Hamare sar Hai
Jo Hamain Zaher Pilatay Howe Mar Jaate Hain
Yeh Mohabat ki kahani Nahi Marti Lekin
Log kirdar Nibhate Howe Mar Jaate Hain
Hum Hain Woh Tooti Howi kashtiyon Waale Mohsin
Jo kinaaron ko Milaatay Howe Mar Jaate Hain

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo