Ghulabon Se Mehki Lari Ho Gayi Hoon Mohabbat ki Pehli Kari Ho Gayi Hoon


Ghulabon Se Mehki Lari Ho Gayi Hoon
Mohabbat ki Pehli Kari Ho Gayi Hoon
Mujhe Tune Aisi Nighaah se Dekha
K Mai Ek Pal Mein Bari Ho Gayi Hoon
Sar-e-Shaam Aane ka Hai Us ka Wada
Mai Subah Se Darr Par Khari Ho Gayi Hoon
Na Churwa sakoge kabi Haath Apna
Mohabbat Bhari Hath-Kari Ho Gayi Hoon
Boht Door hai Mujh se Khushyon ka Mosam
Musalsal Ghamon ki Jhari Ho Gayi Hoon
Juda kar Na Payega Ab koi MOHSIN
Wo Khushbu hai, Mai Pankhri Ho Gayi Hoon

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai