Jaane Ab Kis Dais Milain Ge Unchi Zaaton Waalay Loog


Jaane Ab Kis Dais Milain Ge Unchi Zaaton Waalay Loog
Naik Nigahon, Sache Jazbon Ki Saugaaton Waalay Loog
Pyaas Ke Sehraaon Mein Dhoop Pehen Kar Paltay Banjaaro
Palkon Oat Talaash Karo, Bojhal Barsaaton Waalay Loog
Waqt Ki Urrti Dhool Mein Apne Naqsh Ganwae Phirte Hain
Rim Jhim Subhon, Roshan Shaamon,Resham Raaton Waalay Loog
Aik Bhikaarun Dhoond Rahi Thi Raat Ko Jhoote Chehron Mein
Ujle Lafzon, Sachi Baaton Ki Khairaaton Waalay Loog
Aane Waali Rog Ruton Ka Pursa Dain Har Larki Ko
Shehnaai Ka Dard Samajh Lein Gar Baaraton Waalay Loog
Pathar Kootne Waalon Ko Bhi Sheeshe Jaisi Saans Milay 
Mohsin Roz Duaaen Maangain Zakhmi Haathon Waalay Loog

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo