Kahin aah ban ke lab pe tera naam aa na jaaye

Poet:Habib Jalib
Kahin aah ban ke lab pe tera naam aa na jaaye
tujhe bewafa kahun main woh maqaam aa na jaaye

Zara khud ko sambhaalo mera dil dhadak raha hai
koi aur tair-e-dil tah-e-daam aa na jaaye

Jise sun ke toot jaaye mera aarzoo bhara dil
teri anjuman se mujh ko woh payaam aa na jaaye

Woh jo manzilon pe laa kar kisi humsafar ko looten
unhi rahzahon mein tera kahin naam aa na jaaye

Issi fikr mein hain ghaltaan ye nizaam-e-zar ke bande
jo tamaam-e-zindagi hai woh nizaam aa na jaaye

Ye mah-o-nujoom hans len mere aansuon pe jalib
mera mehtaab jab tak lab-e-baam aa na jaaye

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo