Khalwat me khula hm pe k bebaak thi wo bhi


Khalwat me khula hm pe k bebaak thi wo bhi
Mohtaat the hm log bhi,, chaalaak thi wo bhi
Afkaar me hm log bhi thehre the qad-aawar
Pindaar me "Hum-qaamat-e-aflaak" thi wo bhi
Use paas-e-adab,, "sang-sifat azm" tha uska
Use seel-e-talab,, "soorat-e-khaashaak" thi wo bhi
Jis shab ka girebaa'n tere hatho'n se hua chaak
Ae subah k sooraj,, meri poshaak thi wo bhi
Ek shokh kiran choomne utri thi gulo'n ko
Kuchh der me pevast-e-rag-e-khaak thi wo bhi
Jis aankh ki jumbish pe hui nasb saleebe'n
Maqtal me hme dekh k namnaak thi wo bhi
Dekha jo use,, koi kashish hi na thi usme
Socha jo use,, haasil-e-idraak thi wo bhi
Jo harff mere lab pe raha,, zehar tha MOHSIN
Jo saans mere tan me thi,, saffaak thi wo bhi....!!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo