Mere hum-nafass mere hum-nawaa, mujhe dost ban ke dagha na de


Mere hum-nafass mere hum-nawaa, mujhe dost ban ke dagha na de
Main hoon dard-e-ishq se jaan ba-lab mujhe zindagi ki dua na de
Main gham-e-jahan se nidhaal hoon ke saraapa huzn-o-malaal hoon
Jo likhe hain mere naseeb main, woh alam kisi ko khuda na de
Na yeh zindagi meri zindagi, na yeh dastaan meri daastan
Main khayal o veham se door hoon, Mujhe aj koi sadaa na de
Mere ghar se door hain raahaten, mujhe dhoondti hain museebten
Mujhe khauf yeh ke mera pata koi gardashon ko bataa na de
Mujhe chorr de mere haal pr, tera kya bharosa ae chaaragar
Yeh teri nawaazish-e-mukhtasar, mera dard aur barrhaa na de
Mera azam itna buland hai ke paraaye sholon ka ddar nahin
Mujhe khauf aatish-e-gul se hai kahin yeh chaman ko jalaa na de
Dar-e-yaar pe barri dhoom hai, wohi aashiqon ka hujoom hai
Abhi neend aani hai husn ko, koi shor kar ke jagaa na de
Mere daagh-e-dil se hai roshni, yehi roshni meri zindagi
Mujhe dar hai ae mere chaaragar, yeh chiraagh tu hi bhujaa na de
Woh uthe hain le ke khum-o-subuu, aray ae shakeel kahan hai tu
Tera jaam lene ko bazm main, koi aur hath barrha na de

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo