Phira Hon Saaray Zamanay Mein Dar-badar Kaisay


Phira Hon Saaray Zamanay Mein Dar-badar Kaisay
Mein Tere Baad Bhi Zinda Raha Magar Kaisay
Wo Jaanta Hai Ke Kuch Roz Wo Nahi Tha Tou Mein
Pukaarta Raha Os Ko Idhar Udhar Kaisay
Mein Jis Ke Hijr Mein Roya Hon Paaglon Ki Tarah
Wo Kal Mila Tou Hansa Mere Haal Par Kaisay
Aziz-Tar Thi Jisay Neend Shaam-e-Wasl Mein Bhi
Wo Tere Hijr Mein Jaaga Hai Umer Bhar Kaisay
Kahan Ki Dosti , Kaisa Firaaq , Kon Mohsin
Mein Khud Ko Bhool Gaya Tujh Ko Bhool Kar Kaisay

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo