Saare Lehje Tere,Be-Zubaan, Ik Main Is Bhare Shehr Mein,Ik Raaigaan, Ik Main


Saare Lehje Tere,Be-Zubaan, Ik Main
Is Bhare Shehr Mein,Ik Raaigaan, Ik Main

Wisal K Shehr Ki Roshni, Ik Tu
Hijar K Dasht Mein Karwaan, Ik Main

Bijlion Se Bhari Barshein Zor Par
Apni Basti Mein Kachha Makaan, Ik Main

Mujh Ko Farigh Dinon Ki Amanat Samajh
Bhooli Basri Hoi Dastaan, Ik Main

Ronaqein,Shor,Melay Jhamelay Tere
Apni Tanhai Ki Raazdaan, Ik Main

Us Taraf Sangbaari Har Ik Baam Se
Is Taraf Aainon Ki Dukaan, Ik Main

Wo Nahi Hai Tou Mohsin Ye Matt Samajhna
Ab Bhatakta Phiron Ga Kahan, Ik Main

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai