Sambhala Hai Hosh Jab Se Muqaddar Sakht Tar Nikla


Sambhala Hai Hosh Jab Se Muqaddar Sakht Tar  Nikla
Para Hai Vaasta Jis Se Wohi Teer-o-Tabar Nikla
Sabaq Deta Raha Umr Bhar Jo Roshan Khayali Ka
Usay Bhi Jab Paas Se Dekha Tou Tang Nazar Nikla
Samajh Kar Zindagi Jis Se Mohabbat Kar Rahay Thay Hum
Usay Jab Chhuu Kar Dekha Tou Faqat Khaaki Bashar Nikla
Mohabbat Ka Khumaar Utraa Tou Saabit Howa Mohsin
Jisay Hum Umr Samajh Rhay Thay Faqat Be Maqsad Safar Nikla

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha