So Baar Ujar Kay Phir Basaa Hoon Jangal Hoon Magar Hara Bhara Hoon



So Baar Ujar Kay Phir Basaa Hoon
Jangal Hoon Magar Hara Bhara Hoon
Har Shaks Mein DHoondta Hoon Khud Ko
Shayad Mein Kisi Mein Kho Giya Hoon
Ab Teraa Wisaal Raiegaan Hai
Main Kab Ka Udaas Ho Chuka Hoon
Andha Hoon Pkar Le Haath Mera
Ay Hijar Ki Shab Mein Be Asaa Hoon
Khush Ho Ay Bulandiyon Ki Khawahish
Main Nok-e-Sinaa Pe Saj Giya Hoon
Dariya Ko Shikast Di Hai Maine
Mashkeeze Mein Piyas Bhar Raha Hoon
Karta Hai Qabool Kon Mujh Ko
Kat`te Howe Haath Ki Dua Hoon
Sach Yeh Hai Kay Ajnabi Hoon Khud Se
Kehne Ko Main Sab Se Ashnaa Hoon
Uljha Hoo Yeh Soch Kar Hawaa Se
Main Shaher Ka Akhri Diya Hoon
Din Bhar Ki Tapish Mein Kon Jhulse
Main Shab Ko Badan Pe Aurhta Hoon
Mohsin Mujhe Khud Pe Naz Tha Kaisa
Main Yoon Bhi Misaal-e-Naqash-e-Paa Hoon

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai