Sozz itna to nava me aaye Uska paighaam hawa me aaye


Sozz itna to nava me aaye
Uska paighaam hawa me aaye

Misl-e-gul ab k ho wahshat apni
Zakhm ka rang qaba me aaye

Dil me yun chupke se utra koi
Jaise Jibreel "Hira" me aaye

Yun achaanak tujhe paaya maine
Jaise taaseer Dua me aaye

Chaand ne jhukk k sitaaro'n se kaha
Kitne insaan khalaa me aaye

Haadsa zabt ka dushman hai agar
Hausla ahle-wafa me aaye

Ab to lab khol dahan-bastaa mere
Zalzala arzz-o-samaa me aaye

Rogg kya jee ko laga hai MOHSIN
Zehar ka naam dawa me aaye....!!!!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo