Tujhay Udaas Bhi Karna Tha Khud Bhi Rona Tha Ye Haadsa Bhi Meri Jaan Kabhi Tou Hona Tha


Tujhay Udaas Bhi Karna Tha Khud Bhi Rona Tha
Ye Haadsa Bhi Meri Jaan Kabhi Tou Hona Tha
Namuu Ka Runj Na Abar Guraiz-pa Say Malaal
Ke Mujhko Baanjh Zameenon Mein Beej Bona Tha
Ye Kia K Gard-e-Raah-e-Raf’tagaan Ko Oar Liya
Kafan Ka Daagh Badan Kay Lahoo Say Dhona Tha
Jo Dastaan Usey Kehna Thi Phir Na Guftaa Rahi
Ke Main Bhi Thak Sa Gaya Tha,, Usey Bhi Sona Tha
Mein Takht-e-Abar Par Soya Tha Raat Bhar Mohsin
Khuli Jo Aankh Tou Sehra Mera Bichhona Tha

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha