Zamaney Bhar Ki Nigahon Mai Jo Khuda Saa Lagey


Zamaney Bhar Ki Nigahon Mai Jo Khuda Saa Lagey
Wo Ajnabi Hai Magar Mujh Ko Aashna Sa Lagey
Na Janey Kab Meri Dunya Mai Muskuraaye Ga
Wo Aik Shakhs,,, Jo Khawabon Mai Bhi Khafaa Sa Lagey
Ajab Cheez Hai Yaaron Ye Manzilon Ki Hawas
Ke Raahzan Bhi Musafir Ko Raahnuma Sa Lagey
Dil-e-Tabah! Tera Mashwara Hai Kya Ke Mujhe
Wo Phool Rung Sitaara Bhi Bewafa Sa Lagey
Hoi Hai Jis Se Munnawar,, Her Ek Aankh Ki Jheel
Wo Chaand Aaj Bhi Mohsin Ko Kam Numa Sa Lagey

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha