Aaj phir gardish-e-taqdeer pe rona aaya Dil ki bigrri huyi tasveer pe rona aaya
Dil ki bigrri huyi tasveer pe rona aaya
Ishq ki qaid mein ab tak toh ummeedon pe jiye
Mitt gayi aas toh zanjeer pe rona aaya
Kya haseen khwaab muhabbat ne dikhaya tha hamein
Khul gayi aankh toh taabeer pe rona aaya
Pehle qasid ki nazar dekh ke dil seham gaya
Phir teri surkhi- e- tahreer pe rona aaya
Dil gavaa'n kar bhi muhabbat ke maze mil na sake
Apni khoyi huyi jaageer pe rona aaya
Comments
Post a Comment