Is mein koi shikwa na shikayat na gila hai ye bhi koi khat hai ki mohabbat se bhara hai


Is mein koi shikwa na shikayat na gila hai

ye bhi koi khat hai ki mohabbat se bhara hai

kya yaad dilayenge mujhe mere sitamgar

har naqsh-e-sitam khud mere sine pe likha hai

mujh ko meri aavaz sunai nahi deti

kaisa ye mere jism mein ik shor macha hai

chehare mein hai aaina ki aaine mein chehara

malum nahi kon kise dekh raha hai


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai