Skip to main content
Sazaa ka haal sunaayen jazaa ki baat karen
Sazaa ka haal sunaayen jazaa ki baat karen
Khudaa mila ho jinhe woh khudaa ki baat karen
Unhen pata bhi chale aur woh khafaa bhi na hon
Iss ehtiyaat se kya mudaa.aa ki baat karen
Hamare ehd ki tehzeeb mei qabaa hi nahin
Agar qabaa ho to band-e-qabaa ki baat karen
Har ek daur ka mazhab neyaa khuda laaya
Karen to hum bhi magar kis khuda ki baat karen
Comments
Post a Comment