Tu nahi to zindagi mein aur kya reh jayega Door tak tanhaiyon ka silsila reh jayega


Tu nahi to zindagi mein aur kya reh jayega
Door tak tanhaiyon ka silsila reh jayega

Yun bhi hoga woh mujhe dil se bhoola dega magar
Yun bhi hoga khud usi mein ek khala reh jayega

Dayare inkaar ke ikraar ki sargoshiyaan
Yeh agar toote kabhi to faasla reh jayega

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo