Wo to aaya tha,kai bar mananay mujhko mujh se doori main jo guzri thi,sunanay mujh ko


Wo to aaya tha,kai bar mananay mujhko
mujh se doori main jo guzri thi,sunanay mujh ko
man ne hi tark e ta'aluq ki qasam kha li thi
yaad aa gae phir log,puranay mujhko
kuch to aadat ha ,aankhon ko chalak janay ki
kuch khyalat bhi aatay han,rulanay mujhko
us ko dekhoon to,dil ko pashemani si hoti ha
jo dikhatay thay kabhi,khawb suhanay mujhko
us ne ek lamhay main,andaz badal dala MOHSIN
jiski qurbat main lagay,kitnay zamanay mujhko

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai