Chand Par Ek Maikada Aabad Hona Chahiye Ya Mohabbat Ko Yahein Aazad Hona Chahiye


Chand Par Ek Maikada Aabad Hona Chahiye
Ya Mohabbat Ko Yahein Aazad Hona Chahiye
Qazi-e-Mehshar! Teri Marzi Humari Soch Hai
Zalmon Ko Dunia Main Barbad Hona Chahiye
Rooh K Berang Ufaq Par Rat Bhi Goonji Nida
Dil Parinda Fikar Se Aazad Hona Chahiye
Khwahish-e-Janat Mein Karte Hain Jo Zahid Nekian
Naam Un Ka Muttaqi Shadad Hona Chahiye
Chonke Allah Kar Rha Hai Pyar Har Ek Fard Se
Ps Humain Bhi Ishq Latadad Hona Chahiye
Wasl Sheerein To Khuda Ki Marzi Par Hai Munhasir
Aashqon Ko Mehnati Farhaad Hona Chahiye
Khoobsorat Titlion Ne Khol Kar Rakh Di Kitaab
Ghunchon Ki Janib Se Kuch Arshad Hona Chahiye
Saat Waan Dar Tora Kaale Khoon Se Tehreer Tha
Har Safar Ka Jan-e-Man Ustad Hona Chahiye
Ilm Ka Anbaar Rah-e-Ishq Mein Beqar Hai
"QAIS" Ko Bas Laila Ka Ghar Yad Hona Chahiye
.
Shehzad Qais
.

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai