Chehre pe mere zulf ko phailaao kisi din kya roz garajte ho baras jaao kisi din



Chehre pe mere zulf ko phailaao kisi din
kya roz garajte ho baras jaao kisi din
Raazon ki tarah utro mere dil mein kisi shab
dastak pe mere haath ki khul jaao kisi din
Pedon ki tarah husn ki baarish mein naha lun
baadal ki tarah jhoom ke ghir aao kisi din
Khushboo ki tarah guzro mere dil ki gali se
phoolon ki tarah mujh pe bikhar jaao kisi din
Phir haath ko khairaat mile band-e-qaba ki
phir lutf-e-shab-e-wasl ko dohraao kisi din
Guzrein jo mere ghar se toh ruk jaayen sitaare
iss tarha meri raat ko chamkaao kisi din
Main apni har ek saans ussi raat ko de dun
sar rakh ke mere seene pe so jaao kisi din

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo