Dhundoge agar mulkon mulkon milne ke nahiin nayab hain hum Jo Yaad na aaye bhuul ke Phir ai hum.nafso vo khwaab hain hum


Dhundoge agar mulkon mulkon milne ke nahiin nayab hain hum
Jo Yaad na aaye bhuul ke Phir ai hum.nafso vo khwaab hain hum

Mein hairat o hasrat ka maara khaamosh khadaa huun sahil par
Dariyaa.e.mohabbat kehata hai aa kuchch bhee nahiin payaab hain hum

Laakhon hee musaafir chalte hain Manzil par pahunchte hain do Ek
Ai ahl.e.zamaana qadar karo nayab na hon kaamyaab hain hum

Shad azimabadi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo