Door tak chhayae thay baadal, or kahin sayaa na tha Iss tarha barsaat ka mousam, kabhi aaya na tha


Poet:Qateel Shifai

Door tak chhayae thay baadal, or kahin sayaa na tha
Iss tarha barsaat ka mousam, kabhi aaya na tha
Kya milla aakhir tujh ko bata, saayon kay peechay bhag ker
Aye dil-e-nadaan tujh ko, hum nay samjhaya na tha
Uff ye sannata, kay aahut tak na ho jiss mein mukhal
Zindgi mein iss qadar, hum nay sakoon paaya na tha
Khoob roye chhupp kay ghar ki, chaar deevaari mein hum
Haal-e-dil kehnay kay qabil, koi humsaaya na tha
Ho gaye qallaash jab say, aas ki doulat lutti
Paas apnay or tu, koi bhi sarmaaya na tha
Voh paighember ho kay aashiq, qatul gaah-e-shouq mein
Taaj kaanton ka kissay, duniya nay pehnaaya na tha
Ab khulla jhonkon kay peechay, chal rahi thin aandhiyan
Ab jo manzar hay, voh pehlay tu nazar aaya na tha
Sirf khushboo ki kami thi, moasam-e-gul mein Qateel
Verna gulshan mein koi bhi phool murjhaya na tha
Iss tarha barsaat ka mousam, kabhi aaya na tha

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha