Es Dil Ke Chand Asaason Main Ik Mossam Hai Barsaton Ka Ik Sehra HIJAR Ke Raaton Ka, Ik Jangal Wasal Ke Khawaabon Ka



Poetess Noshi Gillani
Es Dil Ke Chand
Asaason Main Ik
Mossam Hai Barsaton
Ka
Ik Sehra HIJAR Ke
Raaton Ka, Ik Jangal
Wasal Ke Khawaabon
Ka
Us Chodhvein Raat Ke
Sa'ye Main Jab Aakhri
Baar Mile Thay Hum,
Yeh Dil Paagal Kab
Bhoolta Hai Woh
Baagh Sufaid Gulabon
Ka
Mere Kheema-E-Dil Ke
Pass Kaheen Ik Jugno
Thehar Gaya Aur Phir
Sailaab Tha Saari
Bassti Main Andaazon
Ka, Aawaazon Ka
Hum Loog Janoon Ke
Aalam Main Manzil Ki
Talab Bhi Bhool Ga'ye
Ab Dil Ko Bhalaa Saa
Lagta Hai, Sehar Main
Aks Saraabon Ka
Jin Lafzoon Ki Kuch
Ma'aana Thay Woh
Lafz Toh Khawaab
Hue Lekin
Ab Shehar Main Lagta
Jata Hai Ik Melaa
Na'ee Kitaabon Ka.....!
Book Name
Mohabbatain Jab
Shumaar Karna,

Page No- 66

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai