Hawa ko likhna jo aa gya hy Ab us ki marzi k wo khizaan ko bahar likh de


Noshi Gilani

Hawa ko likhna jo aa gya hy
Ab us ki marzi k wo khizaan ko bahar likh de
Bahaar ko intizaar likh de
Safar ki khawhish ko wahamaon k azaab se hum kinaar likh de
Wafa k rasto’n pe chalne walo’n ki kismato’n mein gubaar likh de
Hawa ko likhna jo aa gya hy
Ab us ki marzi
Hawa ki marzi k wasl mausam mein hijr ko hissa daar likh de
Mohabbato’n mein guzarne wali ruto’n ko na paedaar likh de
Shajar ko kam saya daar likh de
Hawa ko likhna jo aa gya hy
Ab us ki marzi
K wo hamare diye bujha kar
Shabo’n ko be ikhtiyaar ker k seher ko bay aitbaar likh de
Hawa ko likhna sikhane walo
Hawa ko likhna jo aa gya hy

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha