Iss Sheher Mein Aisi Bhi Qayamat Na Hoi Thi Tanha They Magar Khud Se To Wehshat Na Hoi Thi



Iss Sheher Mein Aisi Bhi Qayamat Na Hoi Thi
Tanha They Magar Khud Se To Wehshat Na Hoi Thi

Ye Din Hai Keh Yaaron Ka Bharosa Bhi Nahi Hai
Woh Din Bhi They K Dushman Se Nafrat Na Hoi Thi

Ujhre Hoe Iss Dil K Har Ik Zakham Se Pochu
Iss Sheher Mein Kis Kis Se Muhabbat Na Hoi Thi

Ab Saans Ka Ehsaas Bhi Har Baar Guzarta Hai Giran
Khud Apne Hi Khilaaf Aisi Bhi Baghawat Na Hoi Thi

Khuwabon Ki Hawa Raas Thi Jab Tak "Saghar"
Yun Jaagtey Rehna Meri Aadat Na Hoi Thi

Poet:Saghar Siddiqui

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai