Kuchh Ishaare The Jinhein Duniyaa Samajh Baithe The Hum Us Nigaah-E-Aashanaa Ko Kyaa Samajh Baithe The Hum


Kuchh Ishaare The Jinhein Duniyaa Samajh Baithe The Hum
Us Nigaah-E-Aashanaa Ko Kyaa Samajh Baithe The Hum

Raftaa Raftaa Gair Apni Hi Nazar Mein Ho Gaye
Vaah Rii Gaflat Tujhe Apanaa Samajh Baithe The Hum

Hosh Ki Taufiq Bhii Kab Ahal-E-Dil Ko Ho Saki
Ishq Mein Apne Ko Diivana Samajh Baithe The Hum

Beniyaazii Ko Teri Paya Saraasar Soz-O-Dard
Tujh Ko Ik Duniyaa Se Begana Samajh Baithe The Hum

Bhuul Baithi Vo Nigaah-E-Naaz Ahad-E-Dosti
Us Ko Bhi Apni Tabiyat Ka Samajh Baithe The Hum

Firaq Gorakhpuri

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai