Labon pe Aake Qalqee Hogaye Ash'aar Sardi Me Gazal Kehna Bhi Ab Dushwaar Ho gaya Sardi Me


Labon pe Aake Qalqee Hogaye Ash'aar Sardi Me
Gazal Kehna Bhi Ab Dushwaar Ho gaya Sardi Me
Mohalley Bar k Bacho Ne Dhakela Subha-Dum Isko
Magar Hoti Nai Start Apni Car Sardi Me
May Aur June Ki Garmi Me Jo Dil-Bar ko Likha Tha
Ushi Khat ka Jawaab Aaya Hai Sardi Me
Dawa De-De K Khasi Aur Nazley Ki Mariz Ko
Maalej Khud Bechare Padgaye Bimaar Sardi Me
Kai Ahle-Nazar Isko Bhi Tassko ki Adaa Na Samjhe
Bechara Ka papaya Koi Fankaar Sardi Me
Yahi Tu Choriyon Aur Waar-Daaton Ka Zamana Hai
K Behtey Tapte Hai Aag Pehredaar Sardi Me
Lahoo ko Is Tarha Ab Garm Rakhta Hai Mera Shaheen
Kabhi Chai' Kabhi Cigarette ' Kabhi Nazwaar Sardi Me

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha