Mujhay tum yaad aatay ho


Mujhay tum yaad aatay ho

Kisi sar'sabz waadi men
Kisi khush rang jugnu ko
Kabhi urtay huye dekhoon
"Mujhay tum yaad aatay ho"
Khawabon men sawaalon men
Muhabbat kay hawaalon men
Tumhen aawaaz deti hoon
Tumhen waapis bulaati hoon
Yuun khud ko aazmaati hoon
Koi jab nazm likhti hoon
Usay unwaan deti hoon
"Mujhay tum yaad aatay ho"
Kabhi baahir nikalti hoon
Kisi rastay pay chalti hoon
Kahin do doston ko khilkhilatay
Muskuratay dekh leti hoon
Kisi ko gungunaatay dekh leti hoon
To phir...
Meri rafaqat kay awwal o aakhir
"Mujhay tum yaad aatay ho"
December men jo mausom ka maza lenay ko jee chaahay
Koi pyari saheli phone par bolay
Bara he mast mausom hai
Chalo baahir nikaltay hain
Chalo boondon say khailen gay
Chalo barish men bheegain gay
Tau us lamhay
Tumhari yaad holay say
Koi sargoshi karti hai
Yeh palkain bheeg jaati hain
Do aansu toot girtay hain
Mein aankhon ko jhukati hoon
Ba'zaahir muskurati hoon
Faqt itna he kehti hoon
Mujhay kitna sataatay ho
"Mujhay tum yaad aatay ho"

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai