Voh Saath Tha Toh Khuda Bhi Tha Meharbaan Kya Kya Bichharr Gaya Hai Toh Huyi Hein Adaavatein Kaisi


Voh Saath Tha Toh Khuda Bhi Tha Meharbaan Kya Kya
Bichharr Gaya Hai Toh Huyi Hein Adaavatein Kaisi

Havaa Ke Dosh Pe Rakhe Huye Charaagh Hein Hum
Jo Bujh Gaye Toh Havaa Se Shikayatein Kaisi

Jo Be-Khabar Koyi Guzra Toh Yeh Sadaa Di Hai
Mein Sang-E-Raah Hun Mujh Par Inaayatein Kaisi

‎وہ ساتھ تھا تو خدا بھی تھا مہرباں کیا کیا
‎بچھڑ گیا تو ہوئی ہیں عداوتیں کیسی
‎ہوا کے دوش پہ رکھے ہوئے چراغ ہیں ہم
‎جو بجھ گئے تو ہَوا سے شکایتیں کیسی
‎جو بے خبر کوئی گزرا تو یہ صدا دی ہے
‎میں سنگِ راہ ہوں مجھ پر عنایتیں کیسی

Poet:

(عبید اللہ علیم) Obaidullah Aleem

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo